Humko tum kho doge…

Meri rooh nikalne wali hogi
Meri sans bikharne wali hogi
Phir daman zindagi ka chutega
Dhaga sans ka tutega
Phir wapis hum na ayenge
Phir hum se koi na puchega
Phir ankhon mein noor na hoga
Phir dil gham se choor na hoga
Us pal tum hum ko thamoge
Hum se khushi apni maangoge
Phir hum na kuch bhi bolenge
Ankhein bhi na kholenge
Us pal tum ro doge
humko tum kho doge…
humko tum kho doge…


– Unknown

Hum bhool gaye…

Apni taqdeer mein hum mohabbat maangna bhool gaye,
Dil to maanga, par dildaar mangna bhool gaye,
Hum to dil kisi ko de aaye,
Par badle mein dil mangna bhool gaye…

– Unknown

Tumse hi…

Na hai ye pana, na khona hi hai,
Tera na hona jane kyu hona hi hai,
Tumse hi din hota hai, surmaiye shaam aati hai tumse hi…tumse hi…
Har ghari saans aati hai, zindagi kehlati hai tumse hi…tumse hi…

Aankhon mein ankhen teri, bahoon mein baahein teri,
Mera na mujh mein kuch raha, hua kya?
Baaton mein baatein teri, raatein saugatein teri,
Kyun tera sab yeh ho gaya, hua kya?
Main kahi bhi jata hu, tumse hi mil jata hu, tumse hi…tumse hi…
Shoor mein khamoshi hai, thodi se behoshi hai tumse hi…tumse hi…

Aadha sa wada kabhi, aadhe se zayada kabhi,
Jee chahe karlu is tarah wafa ka,
Chhore na chhute kabhi, tore na tute kabhi,
Jo dhaga tumse jur gaya wafa ka,
Mein tera sarmaya hu, jo bhi mein ban paya hu, tumse hi…tumse hi…
Raste mil jate hai, manzile mil jati hai tumse hi…tumse hi…


Movie: Jab we met
Singer: Mohit Chauhan

Love…

Love is the most beautiful of dreams and the worst of nightmares.

– Unknown

What is Love ?

Love is loving what your lover loves.

– Unknown

Tanhaiyaan..

Har subah shuru hoti hai tere khayal se,
Tere hi khayal mein har shaam dhal jati hai.
Din to guzar jata hai teri yaadon ke sahare,
Par raaton ko phir wahi tanhaiyaan laut aati hai…

– Unknown

Consciousness of loving and being loved…

The consciousness of loving and being loved brings a warmth and richness to life that nothing else can bring.

– Unknown

Entire sum of existence…

The entire sum of existence is the magic of being needed by just one person.

– Unknown

Limit of Love…

There is no limit to love’s forbearance, to its trust, its hope, its power to endure.

– Unknown

Sapney…

Roti hui aankho me intezaar hota hai,
Na chahte hue bhi pyaar hota hai,
Kyo dekhte hai hum woh sapney,
Jinke tutne par bhi, unke sach hone ka intezaar hota hai…

– Unknown